Kar do itna karam Aaqa kar do itna karam Deed ke mare jitne bhi hain dar pe aayen tamam
Karlein karam Sarkar-e-Madinah hum roozay pe aayen Gumbad ke saaye mein aakar hum bhi khushiyan manaayein Baad-e-Saba to le kar jana yeh sab ka paigham
Karlain hum deedar Madinah Aaqa hai yeh hasrat Jannat jis pe shaida hai hum dekh lain aisi jannat Shahr-e-Madinah ka rehta hai sab ke lab par naam
Roozay ke noorani jalwe hum ankhon mein basayein Aake tumhare dar pe Aaqa hum bhi bhag jagaayein Aaqa humein qadmon mein bula lo kehte hain yeh ghulam
Rehmat ki rum-jhum hai jahan par aisi fazayein maango Apna bhi Taibah mein ghar ho saare duayein maango Aaqa ke darbaar mein haazir hoon hum subah o shaam
Dar pe kamaal Aaqa ke hum bhi apni palkein bichhaayein Phool durood-e-Paak ke jaake un ke dar pe lataayein Kehna yeh Aaqa se hum bhi dar par kar lain salaam