Karam phir Rasool-e-Khuda ﷺ kijiyega Mujhe bhi Madinah dikha dijiyega
Phirun jis mein aaram se raat din mein Woh galiyan mujhe bhi dikha dijiyega
Jiyun main jahan tak piyun Aab-e-Zarqa Marun Aab-e-Kausar pila dijiyega
Jo tha ishq-e-murshid mein Khusro ne dekha Woh manzar mujhe bhi dikha dijiyega
Mare jabke Yusufؔ aap us ki Aaqa ﷺ Namaz-e-janazah parha dikha dijiyega