Karam ki nazar Tajdar-e-Madinah Karam chahte hain karam ke bhikari Salamat rahe aap ka aastana Rahe aap ka faiz jaari-o-saari
Mere tajurbe ka hai imaan is par Haqeeqat mein shaahid hai Quran is par Tumhein jab kabhi main ne dil se pukara Qareeb aa gaya aur bhi fazl-e-baari
Khabar le kabhi rehbar-e-raah-e-hasti Hai wajah-e-kashish aaj pasti hi pasti Tazaadaat ne maar rakha hai hum ko Mohabbat ke daaway amal se hain aari
Tumhara sahara mila mushkilon mein Tumhara hi daaman mila aasiyon ko Khata kar rahe hain ata ho rahi hai Numaya hai shaan-e-karimi tumhari
Hain Khalid ki jholi mein sadqe tumhare Bare thaath se ho rahe hain guzare Do-aalam mein bas us ke waare nyaare Jo hai aap ke aastan ka bhikari