Karam ki nazar Tajdar-e-Madinah karam chahte hain karam ke bhikhari Salamit rahe aap ka aastana rahe aap ka faiz jaari-o-saari
Hai rabt-e-dawami jise tere gham se hai woh aashna muntaha-e-karam se Woh seenay mein rakhta hai jalway haram ke tere ishq ne jis ki halat sanwari
Nazar mujh ko bakhshi to zauq-e-nazar do ziyarat se apni sarfaraz kar do Mere dil ki jholi ko jalwon se bhar do kabhi to udhar se bhi guzre sawari
Jahan saath deta nahin apna saaya wahan be-qaraar karam un ka paaya Liya barh ke aaghosh mein rehmaton ne baray rang par hai meri sharmsari
Yeh toofan hum ko darayenge kaise bhanwar jaal apna bichhayenge kaise Chale hain hum un ke karam ke saharay nahin doob sakti yeh kashti hamari
Woh sajday asas-e-amal maanta hoon woh sa'at mata-e-amal jaanta hoon Mere wastay hasil-e-zindagi hai dar-e-Mustafa par jo sa'at guzari
Kisi ne bhi samjha nahin ghair hum ko jahan bhi gaye sab ne aankhein bichhayin Mohabbat ka sar-chashma-e-jawadan hai Khuda ki qasam sirf nisbat tumhari