Kar Aaqa karam kar Aaqa karam Mit jaayein mere sab ranj-o-alam
Mujhe ghera aake balaon ne Mujhe le lo ke panahon mein Mangta hoon tumhara Shah-e-Umam
Veeran dil-e-muztar hai mera Toofan mein ghira beda hai mera Is zakhmi dil pe laga marham
Tu saare jag se haseen Aaqa Tere qabze mein saari zameen Aaqa Mangta hai tumhara har aalam
Tera rutba sab se dobala hai Tera sayyida Allah Ta'ala hai Sab aashiq tere Shah-e-Umam
Kar nazar-e-rehmat Saqib par Taiba ka ticket ata hai kar Yeh dekhe aake tumhara Haram