Kamli wale ka maskan Madine mein hai, kami wale ka roza Madine mein hai Hai Khuda bhi wahin Mustafa bhi wahin, aks-e-Arsh-e-Mualla Madine mein hai
Is taraf apne ashkon ki hain daaliyan, is taraf sabz gumbad ki hain jaaliyan Ek taraf hain gada ek taraf Mustafa, jaane kya kya nazara Madine mein hai
Aao shehar-e-Nabi sayahat karen, shehar-e-mehboob-e-Rab ki ziyarat karen Pyaar ka har qareena Madine mein hai, har ata ka hawala Madine mein hai
Ho sukoonat jahan Shah-e-Lau-laak ki, jis ke jhonkon mein khushbu Nabi Pak ki Jis ke zarron mein azmat hai aflaak ki, woh Nabi ka mahalla Madine mein hai
Jis ne Taiba mein ek baar di haazri, us ki khud bakshwayenge mere Nabi Aao sairab kar len dil-o-jaan ko, aab-e-Kausar ka dariya Madine mein hai
Ek woh basti hai mehfooz Dajjal se, nisbaten hain jise Hashmi laal se Ba-khabar hai ghulamon ke jo haal se, woh Khuda ka yagana Madine mein hai
Main Madine ki azmat likhoon kya bhala, mujh ko Nasir pata hai bas ek baat ka Mustafa ka gharana Madine mein hai, Mustafa ka qabeela Madine mein hai