Kabhi us shakhs ke aibon ka charcha ho nahin sakta Bhram jis ka Nabi rakhein woh ruswa ho nahin sakta
Karam jin ka hai shewa aur aadat darguzar jin ki Mujhe mehroom rakhein ge woh aisa ho nahin sakta
Haseen-o-mah-jabeen-o-nazneen to yun bahut se hain Magar koi meri Sarkaar jaisa ho nahin sakta
Madine mein pahunch kar koi saail naamuraad aaye Meri Sarkaar ko hargiz gawara ho nahin sakta
Ghulam-e-Mustafa ki thokron mein hai shehanshahi Ghulaami ke ewaz shahi ka sauda ho nahin sakta
Aleem un ka karam barh kar jise aaghosh mein le le Uthaye ghair ke ehsaan woh mangta ho nahin sakta