Kabhi us shakhs ke ayyooboon ka charcha ho nahin sakta Bharam jis ka Nabi rakhain woh ruswa ho nahin sakta
Wohi hai Sahib-e-Iman jo yeh Iman rakhta hai Baghair ishq-e-Nabi dil mein ujala ho nahin sakta
Haseen o Meh-e-Jabeen o Naazneen yun to bohut se hain Magar koi mere Sarkar jaisa ho nahin sakta
Nabi ke chaahne walon ke daaman se hoon wabasta Qasam hai Qabr mein meri andhera ho nahin sakta
Madinah mein pahunch kar koi sa'il namraad aaye Mere Sarkar ko hargiz gawara ho nahin sakta
Aleem un ka karam barh kar jaise aaghosh mein le le Uthaaye ghair ke ihsaan woh mangta ho nahin sakta