Kabhi sun le hamari yeh duayein Ya Rasool Allah ﷺ Madinah ja ke hum waapas nah aayen Ya Rasool Allah ﷺ Jo rooh masroor kar den aur seene ko karain roshan Woh rehmat ki hai karday noori chaain ya Rasool Allahﷺ Naza ke waqt jis lamha yeh ankhen bandh ho jaayen Nazarah tere chehre ka hi paayen ya Rasool Allah ﷺ Tumhare dankay bajte hain Tumhare dankay bajte hain Jahan bhar mein jahan bhi hum hain jaayen Ya Rasool Allah ﷺ Hai jis rangat mein range hain Bilal Habshi aur Jami Wohi rangat kabhi hum par chadhayein ya Rasool Allah ﷺ Tumhare sab ghulamoon ki tamanna hai! Qabar andar Tera deedar mahshar tak paayen Ya Rasool Allah ﷺ Nakirain jab qabar andar ay Saqib hum se poochhen ge Teri ni'maton ke hum naghme sunayein ya Rasool Allah ﷺ