Kab kehta hoon nayab nageena mujhe de do Mangta hoon Madinay ka Madinah mujhe de do Khushboo se mehekta rahe Gulshan mere dil ka Aqa rukh-e-noor ka paseena mujhe de do Kya mangoon Shaha aap se kis tarah main mangoon Izhaar-e tamanna ka qareena mujhe de do Jeena bhi Madinay ka Madinah ka hai marna De maut wahin aur wahin jeena mujhe de do