Qafila aaj Madine ko rawana hoga Anqareeb apna Madine mein thikana hoga
Lab pe naghmat-e-Muhammad ka tarana hoga Jhoomte jhoomte deewana rawana hoga
Kis qadar zairo! woh waqt suhana hoga Rubaru jab dar-e-Sultan-e-Zamana hoga
Dard-o-aalam ka jab lab pe fasana hoga Abr-e-rehmat ke barasne ka bahana hoga
Nekiyan palle Madine ke musafir ke kahan! Aansuon ka meri jholi mein khazana hoga
Itni betaab na ho aane de Taiba ki gali Rooh-e-muztar tujhe kuch waqt bitana hoga
Gunbad-e-Khazra ki jis waqt mein dekhunga bahaar Mujh gunahgar ki bakhshish ka bahana hoga
Jab sawalat, Nakeerain karenge mujh se Lab pe Sarkar ki naaton ka tarana hoga
Hashr mein jab humein Sarkar nazar aayenge Kaisa manzar woh haseen aur suhana hoga
Tujh ko gar rutba-e-aali ki talab hai bhai! Gaur se sun tujhe hasti ko mitana hoga
Un ki dehleez pe sar apna jhuka de bhai! Dekhna sab tere qadmon mein zamana hoga
Bhaiyo! chahiye gar Rabb-e-Muhammad ki raza Khud ko Mehboob ki sunnat pe chalana hoga
Meri Sarkar ke qadmon mein hi InshaAllah Mera Firdous mein Attar thikana hoga
Is baras bhi na Madine mein agar aayi maut Ghar ko rote hue Attar rawana hoga