We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Josh Par Tazkara e Shah

Fazil Mesoori

Josh par tadhkira-e-Shah-e-Anam aata hai Chandni phailti hai Mah-e-Tamam aata hai Daur mein Rahmat-e-Ghaffar ka jaam aata hai


Jis jagah Ahmad-e-Mukhtar ka naam aata hai Wahin Jibreel-e-Amin le ke salam aata hai


Baithte uthte zaban par wahi naam aata hai Lutf-e-may aata hai be-sheesha-o-jaam aata hai Lab-e-khamosh ko bhi tarz-e-kalam aata hai


Ishq-e-Khwaja mein ek aisa bhi muqam aata hai Dil dhadakta hai to rahmat ka payam aata hai


Su-e-Taibah hai rawan qafila-e-shauq-o-niyaz Koi hamdam hai na rahbar hai na koi damsaz Har qadam par hai tasawwur mein Hareem-e-Sad-Naaz


Aap ke hukm se be-par ko mili hai parwaz Idhn bakhsha hai to sarkar ghulam aata hai


Hukm-e-La tarfa'u aswat ka pehra hai idhar Ek lamhay ki bhi ghaflat hai yahan gharat-gar Dhadkanein zer-o-zabar hon na unhein qabu kar


Dil-e-betab thahar ae dil-e-betab thahar Ba-adab bash ke Taibah ka muqam aata hai


Kya ta'ajjub hai ke hum jaise kamine pahunchein Jab hamein khud liye rahmat ke safine pahunchein Chand sanson ki hai rukhsat, unhein jeene pahunchein


Ae dil ab waqt hai peeri ka Madine pahunchein Ashiyanay mein parinda sar-e-sham aata hai


Shan-e-Haq ka hua izhar ba-shan-e-Mehboob Aur Quran ne qasam khai ba-jaan-e-Mehboob Ain mansha-e-mashiyat hai bayan-e-Mehboob



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Tarjuman-e-dil-e-Yazdan hai zaban-e-Mehboob Wahi ban kar lab-e-Hazrat pe kalam aata hai


Anbiya misl-e-kawakib hain to woh Mah-e-Tamam Awwal-ul-Khalq ka rakhte hain basad fakhr muqam Khatmiyat ka bhi Haq ne unhein bakhsha inaam


Bi'sat-e-Khwaja hui ba'd-e-Rasulan-e-Kiram Safein ho jayen mukammal to Imam aata hai


Qalb-e-muztar ko yahin dekha hai taskin-pazeer Is se manoos rahay jin-o-malak sab ke khameer Tab-e-mushtaq ko bhati hai yahi ek zanjeer


Ek main hi nahi gesu-e-Muhammad ka aseer Ta'ir-e-Sidrah bhi ud kar tah-e-daam aata hai


Un ki rahmat ke nishan Arsh-e-Ula farsh-e-zameen Aam hai un ka karam sab pe, rahay koi kahin Faiz-yab un se hai Fazil yeh mera harf-e-yaqeen


Rumi-o-Jami-o-Sa'di hi pe mauquf nahin Un ke maddahon mein Mazhar ka bhi naam aata hai

Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah