Jo wasta Nabi ka de kar sada na de ga Us ko qasam Khuda ki hargiz Khuda na de ga
Parwardigar tujh ko hargiz shifa na de ga Mere Nabi ka jab tak tu wasta na de ga
Jo hai Raza Nabi ki woh Raza Khuda ki Jis ko Nabi na dein ge us ko Khuda na de ga
Sarkar ke matab mein milti hai roz jaisi Koi hakim tujh ko aisi dawa na de ga
Tu ummati hai un ka jin ke ghulam hain sab Tu maang ek kori tujh ko khazana de ga
Rasta Nabi ke dar ka murshid se pooch ja kar Un ke baghair tujh ko koi pata na de ga
Un ke gharane wale sab hain aleem aqa Jo kuch bhi de ga tujh ko Sayyid gharana de ga