We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Jo Shehar e Nabi Main Jaye Ga

Jo shehar-e Nabi mein jaaye ga wo wapas kaise aaye ga


Jab bichhdega mar jaayega unhon shahr-e Madinah bhulana nahi


Dukhiyon ka ghamkhawar wahin hai alam ka mukhtar wahin hai Hai ik baat qareene mein ik dard rahega seene mein Hai jis ki jaan Madinah mein unhon shahr-e Madinah bhulana nahi


Rumi Habshi Misri Shami hon chahye Mawana Jaami Koi khaaki hai ya noori hai kab us ko gawarah doori hai Har aashiq ki majboori hai unhon shahr-e Madinah bhulana nahi


Sab ki aankhen baras rahi hain sab ki nazarain taras rahi hain Jo aap ka sag kehlata hai jo aap ke tukde khata hai Jo dekh kar Taibah aata hai unhon shahr-e Madinah bhulana nahi


Jannat par kyon ji lalchaaye shahr Madinah bhul na paaye Jo shahr Nabi ki raatein hain woh qudrat ki sughaatein hain Jise yaad wahan ki baatein hain unhon shahr-e Madinah bhulana nahi



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Kaun is shahr ki baat sunaaye khud Quran qaseeda gaaye Rahmat ke wahan par reelay hain Hasanain jahan par kheley hain Jis ne woh dekhe mile hain unhon shahr-e Madinah bhulana nahi


Allah ka mehboob Madinah Aqa ka matloob Madinah Ek baar jo hazri hota hai woh daagh asiyaan dhota hai Phir door tarapata rota hai unhon shahr-e Madinah bhulana nahi


Jab is shahr ki baat chalega hijr ki kaali raat katega Jis dil mein Madinah rehta hai jis aankh se darya bahta hai Dil mera Naseer kehta hai unhon shahr-e Madinah bhulana nahi

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah