We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Jo Naam Saf e Pak RasoolanNot Verified

Khatir Ghaznavi

Jo naam saf-e-pak rasoolan mein jali hai Us naam se duniya ki har ik baat chali hai


Takhleeq-e-do aalam ka sabab hai yehi duniya Us noor-e-risalat ﷺ ki tajalli azali hai


Hai mehv-e-tawaf-e-dar-e-mehboob ﷺ Ilahi Ik hasrat-e-pakeeza keh phoolon mein pali hai


Saya bhi use chhoo le toh ho jaaye farozan Woh shakl keh anwar ke sanche mein dhali hai


Bakhshish bhi isi rah mein manzil mein isi par Ik qulzum-e-inaam Madine ki gali hai



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Khushboo-e-gulistan-e-shahanshah-e-do aalam ﷺ Khatir mujhe Batha ki taraf leke chali hai

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah