Jo mushkil ghari mein pukara Muhammad Madad ko chale aaye barah Muhammad
Yeh Akbar ki aamad pe Shabbir bole Lo phir aa gaye hain dobara Muhammad
Nahi Aal ke bin Muhammad kisi ka Koi laakh bole hamara Muhammad
Muhammad Muhammad Muhammad Muhammad Yeh kunba hai saare ka sara Muhammad
Kisi ne Ali ki fazeelat jo poochhi Muhammad ne hans kar pukara Muhammad
Aye Asma-e-Husna ijazat hai keh doon Ali (as) ne zameen par utara Muhammad ﷺ