Jo mahfilen sajaye ga woh rehmaten paaye ga
Ek din dekhna tum woh Madinah jaaye ga
Naghmay daroodon ke lab pe saja lo sare Jis ki yeh mahfil hai woh yahan pe aayega
Un ki muraden saari poori ho jaayengi Jashn-e Milad Nabi jo jo manaye ga
Aqa ki shafa'at ka haqdaar woh hai banta Aap ke duare par jo bhi bandi jaaye ga
Toofanon ka sun kar ghabra zara na to Jis ke haath laaj teri woh tujhe bachaye ga
Roze ka tasawwar karke lab pe durood saja Khwab mein dekhna tum Kamli wala aaye ga
Qabar wa Hashr ka sun ke ghabra zara na Saaqib Jin ki ni'maten padhta hai to woh karam kamaaye ga