Jo hai unwan-e-hasti ka, woh tera naam-e-nami hai Khuda jis ka sana-khwan hai, teri zaat-e-girami hai ﷺ
Tujhe pehchanna tere usoolon par amal karna ﷺ Yehi irfan-e-haq hai aur yehi aali maqami hai
Hayat-e-jawidan hai aap ﷺ ki ulfat mein mar jaana Haqeeqi zindagaani aap ﷺ ki sacchi ghulami hai
Khuda hai naat-go jis ka, main us ki naat kya likhoon Takhayyul mera naaqis hai, hunar mein mere khaami hai
Mujhi par hi nahin mauqoof, un ke naat-khwanon mein Khuda hai, Murtaza ؑ hai, Ghous ؒ hai, Rumi ؒ hai, Jami ؒ hai
Sanad hai zikr-e-Quran mein, Waleed ibn-e-Mugheera ka Jo gustakh-e-Muhammad ﷺ hai, woh badgo hai harami hai
Samjhiye sab ko accha, khud ko kamtar jaaniye sab se Yehi neki ka rasta hai, isi mein nek naami hai
Mujhe kyun pursish-e-aamaal ka ho khauf ae Sajid ؔ Habib-e-Kibriya ﷺ roz-e-qayamat, mera haami hai