Jo firdous-e-tasawwur hain woh manzar yaad aate hain Madine ke gali kooche barabar aate hain
Jo lagta hai koi kankar badan har deen ki khatir Toh dil ko wadi-e-Taif ke patthar yaad aate hain
Fazaon mein agar koi parinda raqs karta hai Toh aankhon ko Madine ke kabootar yaad aate hain
Ukhuwwat aur eesar-o-mohabbat jin ka shewa tha Woh aali zarf as-haab-e-Payambar yaad aate hain
Zamane ki garan khwabi ka aalam dekh kar Azhar Nabi ki bedari ke paikar yaad aate hain