Jitna diya Sarkar ne utni meri auqaat nahin Yeh toh karam hai un ka warna mujh mein aisi baat nahin
Tu wahin pe ja jis dar par sab ki bigri banti hai Ek teri taqdeer banana un ke liye kuch baat nahin
Zikr-e-Nabi ﷺ mein jo din guzre woh din sab se behtar hain Yaad-e-Nabi ﷺ mein raat jo guzre us se behtar raat nahin
Jaagti raatein un ki yaadein wird-e-zabaan ho sall-e-ala Aur aankhon mein ashk-e-nadamat, is se bari sughaat nahin
Ghaur toh Sarkar ki tujh par kaisi khaas inayat hai Kausar toh hai un ka sana khwan yeh mamooli baat nahin