Jis dar se ghamon ke haalaat badalte hain Aao usi Aaqa ﷺ ke darbaar mein chalte hain
Yeh apna aqeeda hai jayenge woh jannat mein Sarkar ﷺ ki seerat ke saanche mein jo dhalte hain
Lillah bula lijiye dukh dard ke maron ko Taiba ki ziyarat ko armaan machalte hain
Hota hai karam jin par Sultan-e-Madinah ﷺ ka Toofan ki maujon se be-khauf nikalte hain
Tu adna gada ban ja Sarkar ﷺ ki chaukhat ka Sab shah-o-gada jin ki khairaat pe palte hain
Kehta hoon Moin is dam naat-e-Shah-e-Wala ﷺ Jazbaat mere jis dam shair mein dhalte hain