Jashn-e-aamad-e-Rasool Allah hi Allah Bibi Aminah ke phool Allah hi Allah
Mere Aaqa jo tashreef laane lage Hoor-o-ghilman bhi khushiyan manane lage Har taraf noor ki roshni chha gayi Mustafa kya mile zindagi mil gayi Ae Halima teri god mein aa gaye Dono aalam ke Rasool Allah hi Allah
Chehra-e-Mustafa jab dikhaya gaya Chhup gaye taare aur chand sharma gaya Aminah dekh kar muskurane lagi Hawwa Maryam bhi khushiyan manane l<bos>-gin Dua ho gayi qubool Allah hi Allah
Shadiyane khushi ke bajaye gaye Shadmani ke naghme sunaye gaye Har taraf shor-e-Sall-e-Ala ho gaya Aaj paida Habib-e-Khuda ho gaya Phir toh Jibreel ne bhi yeh ailaan kiya Yeh Khuda ke Rasool Allah hi Allah
Unka saaya zameen par na paya gaya Noor se noor dekho juda na hua Hum ko Aabid Nabi par bada naaz hai Kya bhala mere Aaqa ka andaaz hai Jis ne rukh pe mili woh shifa pa gaya Khak-e-Taibah teri dhool Allah hi Allah