Jaane kya kya daan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne Hum pe karam har aan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Sayyidina Hamza ka qatil aa gaya jab darwaze par Wahshi se insaan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Ek Khuda hai ek hai Quran ek hi de kar dein hum ko Kitna bada ehsaan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Gumrahi ki daldal mein the lat pat saare log magar Bakhshish ka saaman kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Ek nazar farmane se hi baat meri to ban aayi Patthar se marjan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Jin ki nahi thi koi izzat koi azmat un ko bhi Zee-izzat zeeshan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Shahar-e-Madine jaane walo tum ko lakh mubarak ho Tum ko khud mehmaan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne
Jin ka koi nahi hai Nasir un ka main hoon ae Nasir Is ka khud elaan kiya hai Shahar-e-Madine wale ne