Jalwah nahin hai nazm mein husn-e-qabool ka Deewan mein sher gar nahin Naat-e-Rasool-e-Allah ﷺ
Haq ki talab hai laksh, to Muhammad ﷺ parast ho Aisa waseelah hai yeh Khuda ke wusool ka
Matloob hai zaman-o-makaan-o-jahan ka Mehboob hai Khuda ka, falak ka aqool ka
Jin mard-e-maa'n ko aankhein diyan hain Khuda ne ve Surma karein hain reh ke teri khaak-o-dhool ka
Maqsood hai Ali ka Wali ka, sabhi ka to Hai qasd sab ko teri raza ke husool ka