We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Jahan Paiwand e Zulmat Ban GayeNot Verified

Ghulam Muhammad Qasir

Jahan paiwand-e-zulmat ban gaye rozan makanon ke Wahin khole gaye saare dariche aasmanon ke



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Ek andhi raat thi jo rait par lehrein banati thi Aur un mein jazb ho jaate the naghme sarbanon ke


Saraye dahr mein mehman the sadiyon ke sanate Tumhara naam le kar karwan utre azanon ke


Tumhari rahguzar mein koi jitni door jaata hai Usi nisbat se dil par bhed khulte hain jahanon ke


Mukhalif simt jayen to safine toot jaate hain Madine ki taraf rukh phir rahe hain baadbanon ke


Kitab-e-zindagi rakhte hain taab-e-zindagi kam hai Naye kirdar hain hum log agli dastaanon ke

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah