Jab tasawwur mein kabhi shehr-e-Madinah aaya Dil ke aangan mein bahaaron ka mahina aaya
Mil gayi jis ko gadai dar-e-aqdas ki Us ke hathon mein do-aalam ka khazina aaya
Bahr-e-mawwoj se bas ism-e-Muhammad ke tufail Bach ke girdab se, sahil pe safina aaya
Jab kabhi apne gunahon pe zara ghor kiya Mujh ko ehsas-e-nadamat se pasina aaya
Meri janib bhi tasarruf ki nazar ho jaye Aas le kar dar-e-aqdas pe kamina aaya
Aap ke dars-e-sadaqat ki badaulat Arif Ahl-e-dunya ko hai jeene ka qarina aaya