Khayal mein bhi jab Rasool-e Dhu Hashim ka naam parh To dast-basta, sar ba kham durud parh, salaam parh Jo madhat-e niyaz hai, jo ishq ki namaz hai madaam parh, tamaam parh, ba waqt-e subh o shaam parh Yeh rabt-e layazal hai, yeh jaan hai, yeh Aal hai Durud parhne wale! ba kamal o ba tamaam parh Thana hi rukht o zaad hai, nahad hai, murad hai Yehi wazifa-e dil-e niyaz gaam gaam parh Karim sun rahe hain teri naat ko, salaam ko Ghulam parh, ghulam parh, ghulam parh, ghulam parh Woh naam hi hayat hai, wasila-e najat hai Woh naam hi madaam likh, woh naam hi madaam parh