Jab mere dil ka dard, alam tak pahunch gaya Main khud ba khud hi unؐ ke karam tak pahunch gaya
Yeh bhi naseeb hi ki toh hai baat dosto Jo sar jhuka toh unؐ ke qadam tak pahunch gaya
Qasir rahi zubaan jo kehne se mudda'a Ahwal-e-dil toh deedah-e-nam tak pahunch gaya
Samjhoonga main keh mil gayi me'raj mujh ko bhi Jazba mera jo Shah-e-Umam tak pahunch gaya
Deeje ab izn Gumbad-e-Khizra ki deed ka Aasi yeh aapؐ ka toh haram tak pahunch gaya
Aaye hain Azmiؔ bahar-e-pazeerai ba-har surosh Parhta durood main jo adam tak pahunch gaya