Jab kiya main ne waseela Shah ﷺ ki tauqeer ko Chashm-e-hairat se dua ne dekha hai ta'seer ko
Sahib-e-Quran ke deedaar se be-khud hua Saamne Quran pa kar, apni hi tafseer ko
Iftikhar fakhr-e-rehmat se hui woh ashkbaar Jab amaan daaman-e-rehmat mein mili tafseer ko
Jo yeh kehta hai muqaddar ka likha talta nahi Le ke jaaye woh dar-e-sarkar ﷺ par taqdeer ko
Rahi jis mein bhi Muhammad ﷺ aur Ahmed ﷺ ho likha Bosa deta hoon adab se jhuk ke us tehreer ko