Jab husn tha un ka jalwa numa anwar ka aalam kya hoga Har koi fida hai bin dekhe deedar ka aalam kya hoga
Jis waqt thay khidmat mein un ki Abu Bakr-o-Umar Usman-o-Ali Us waqt Rasool-e-Akram ke darbar ka aalam kya hoga
Chahein to isharon se apne kaaya hi palat dein duniya ki Yeh shaan hai khidmat-garon ki sardar ka aalam kya hoga
Meraj ki haq se woh arsh-e-mualla par pohanchay Raftar ka aalam kya hoga guftar ka aalam kya hoga
Allah ghani, SubhanAllah kya khoob hai rozay ka naqsha Mehrab-e-haram ka, jaali ka, minar ka aalam kya hoga
Kehte hain Arab ke zarron par anwar ki barish hoti hai Ae Najm na janay Taibah ke gulzar ka aalam kya hoga