Jab Gumbad-e-Khizra par pehli nazar gayi Aankhon ke raaste mere dil mein utar gayi
Sarkham tha lab khamosh thay aankhein thin ashkbaar Ek sa'at-e-bedaar thi jo ke guzar gayi
Taibah se lutta kisi aashiq se poochiye Aisa laga ke rooh badan se guzar gayi
Barsi thi is qadar ke naha sa gaya udhar Woh baarish-e-karam mere daamaan ko bhar gayi
Dil bhi hai shaad-shaad tabiyat hai pur-bahaar Lagta hai aaj Madine meri khabar gayi
Aawaaz-e-Ubaid teri pe faizan-e-naat hi Seenon mein aashiqan-e-Nabi ke utar gayi