Ja zindagi Madine se jhonke hawa ke la Shayad Huzoorﷺ hum se khafa hain mana ke la
Tukron mein bat gayi hai ummat-e-Rasool ﷺ ki Abu Bakr se kuch aaine sidq-o-safa ke la
Duniya bohat hi tang Musalman pe ho gayi Farooq ke zamane ke naqshe utha ke la
Gumrah kar diya hai nazar ke fareb ne Usman se zaviye zara sharm-o-haya ke la
Europe mein mara mara na phire gada-e-ilm Darwaza-e-Ali se yeh khairat ja ke la
Batil se dab rahi hai ummat-e-Rasool ﷺ ki Manzar zara Hussain se kuch Karbala ke la