Ism-e-Muhammad lab pe aaya, naat hui Aaqa ne yun bhaag jagaya, naat hui
Saans muattar ho gaya jab bhi parha durood Yaad ne un ki khoob rulaya, naat hui
Khush-bakhti hai, hub-e-Rasool-e-Akram ka Qaryah-e-dil mein deep jalaya, naat hui
Jhoomte jhoomte qadmon mein ashjaar aaye Kankariyon se kalma parhaya, naat hui
Chaand ko ek ishare se do tukre kiya Doobte suraj ko lautaya, naat hui
Dil ki hasrat junhi palkon par aayi Khair talab se barh kar paya, naat hui
Allah ke Mehboob-e-Kareem se bakhshish ke Shehr-e-karam se gohar laya, naat hui
Jaan se barh kar qeemti hai jo paas mere Nisbat-e-Hazrat ka sarmaya, naat hui
Taibah mein aaye to Tala-al-badru ka geet Bachiyon ne jab mil kar gaya, naat hui
Bakht-e-rasa Hassan ka dekho, Aaqa ne Mimbar par khud aap bithaya, naat hui
Chadar-e-rehmat Busiri ko de ke kaha Khoob qaseeda dil ko bhaya, naat hui
Sallallahu alaihi wa sallam parh kar khoob Bhej ke samjho noor-e-hadaya, naat hui
Sidrah nahin, bas Aw adna ki baat karo Arsh-e-bareen pe jab bulwaya, naat hui
De ke Taib ek saleeqa kehne ka Jazb-o-kaif-o-shauq barhaya, naat hui