Ek noorbarsta hai yaaro shahr-e-Madinah mein Mela laga rehta hai yaaro shahr-e-Madinah mein
Allah ke khazaane sab uss jaa pe bat-te hain Dukh dard musibat sab uss jaa pe hatt-te hain Jo maango milta hai yaaro shahr-e-Madinah mein
Uss dar ke nizaaron ki kya baat mere yaaro Is dar ki bahaaron ki kya baat mere yaaro Rehmat ka darya hai yaaro shahr-e-Madinah mein
Jis aaqa ke charchay hain yaaro saare jahanon mein Jis aaqa ke charchay hain yaaro laamaakaanoN mein Mahboob woh rehta hai yaaro shahr-e-Madinah mein
Aaqa ki shafa'at ka milta hai unhein mujdeh Dar qabr o Mahshar ka sab dur hai ho jaata Jo shakhs bhi jata hai yaaro shahr-e-Madinah mein
Rabb bhala tumhaara kare chhota sa bhala kar do Ae dosto sab mil kar mere haq mein dua kardo Saqib ka qaza-e yaaro shahr-e-Madinah mein