ek baar main phir aaya Sarkaar ke qadmon mein kheench Rab ka karam laaya Sarkaar ke qadmon mein
roze ki jaaliyon ko jo yaaro choom aaya qismat ko jaga aaya Sarkaar ke qadmon mein
Gumbad ki chhaon mein jab un pe salaam parha rehmat ne kiya saya Sarkaar ke qadmon mein
jo main ne kahi naatein jo main ne parhi naatein woh saari suna aaya sarkaar ke qadmon mein
jo muwajah ko dekha to aansoo chhalak paday dil mera bhar aaya sarkaar ke qadmon mein
roze pe thaqib noori baarish hoti hai main is mein naha aaya sarkaar ke qadmon mein