Idhar choom loon gaa udhar choom loon gaa Dar-e-Mustafa jhoom kar choom loongaa Hai chaman taskeen jaan un ka saya Madinah ke deewar o dar choom loongaa Jo sajda gah-e Qudsiyaan falak hai Muhammad ﷺ ka woh sang-e-dar choom loongaa Hai jis mein base sabz gunbad ke jalwe Aqeedat ki main woh nazar choom loongaa Naseem-e-Shafa'at ke aayenge jhonkay Madinah ke barg o shajar choom loongaa Sunaay ga jab to Nawid-e-Huzoori Qadam tere eynaama bar choom loongaa Mujhe laakh rokay koi choomne se Dar Mustafa mein magar choom loongaa Jo ek baar roka mujhe choomne se Toh main baar-e-digar choom loongaa