Idhar bhi nazar Shahryar-e-Madinah Pada hoon sar-e-rahguzar-e-Madinah
Tajalli ke mushtaq hain dono aalam Utha parda ae parda-dar-e-Madinah
Kahan bagh-e-jannat ki thandi hawaein Kahan rooh parwar bahar-e-Madinah
Mira surma-e-chashm hai khaak-e-Yathrib Mira ghaza-e-rukh ghubar-e-Madinah
Hai nisbat Khuda ko bhi shehar-e-Nabi ﷺ se Hai Jibreel ؑ bhi jaan nisar-e-Madinah
Khayalon mein hain shehar-e-Taibah ke jalway Nazar mein hai rang-e-bahar-e-Madinah
Gada-e-dar-e-meer-o-sultan nahin hai Gada-e-dar-e-Shahryar-e-Madinah
Wohi zaat hai iftikhar-e-do aalam Wohi zaat hai iftikhar-e-Madinah
Unhi se farozan hua ghar Khuda ka Unhi se hai qaim waqar-e-Madinah
Bajuz Shah-e-Deen ﷺ aur koi nahin hai Nigar-e-do aalam, nigar-e-Madinah
Dil afroz hain sangrezay Uhud ke Zahay gohar-e-sana hua Madinah