Huzoor meri to saari bahaar aap se hai Main be-qaraar tha mera qaraar aap se hai
Kahaan woh arz-e-Madinah kahaan meri hasti Yeh haazri ka sabab baar baar aap se hai
Meri to hasti kya hai mere Ghareeb-e-Nawaaz Jo mil raha hai mujhe saara pyaar aap se hai
Siyaah-kaar hoon Aaqa bari nadaamat hai Qasam Khuda ki yeh mera waqaar aap se hai
Mohabbaton ka sila kaun aise deta hai Sunheri jaaliyon mein Yaar-e-Ghaar aap se hai
Yeh lafz naat ke jitne hain aap dete hain Yeh naat-goi mein mera shumaar aap se hai
Huzoor aap ki yaadon mein ashk-e-rehmat hai Yeh aankh teri ziya ashkbaar aap se hai
Hai zikr aap ka aisa ki aankh bhar aaye Yeh aankh teri ziya ashkbaar aap se hai