Huzoor aap ﷺ aaye toh dil jagmagaye Warna lacharon ka kya haal hota Aseeron kaneezon pe kya kuch guzarti Musibat ke maron ka kya haal hota
Huzoor aap ﷺ aaye toh aayi baharein Har samt Sall-e-Ala ki pukarein Mahinon mein Rabi-ul-Awwal na hota Toh phir in baharon ka kya haal hota
Adab se pukarein malaik bhi saare Ke tashreef laye hain Aaqa ﷺ hamare Woh Mairaj ki shab Arsh par na jaate Toh chand aur taron ka kya haal hota
Sab Ambiya bhi salami ko aaye Yousuf bhi baithe hain sar ko jhukaye In sab mein agar Kamli wale na hote Toh lakhon hazaron ka kya haal hota
Mahshar mein sab ghabra gaye the Dozakh ki aatish se tharthara gaye the Huzoor aap ﷺ agar na hamein bakhshwate Hum khatakaron ka kya haal hota
Huzoor aap ﷺ aaye toh dil jagmagaye