humein bhi apne jalvoon ka ata didaar kar dena Lahd meri Madinah mein mere sarkaar kar dena
zuban khamosh hai is waaste Aqa mein aasi hoon magar sadqe mein Zahra ke karam ek baar kar dena
kahan tak jharkiyan khayen zamane ki shah-e Batha thikana hum ghareebon ka sar darbaar kar dena
humein maloom hai hum munh dikhane ke nahin qabil Tafile-e Panjtan beera hamara paar kar dena
yehi khwahish yehi husrat yehi armaan hai dil mein karam ishrat pe apna Sayyid-e Abrar kar dena