Hum pe nazar-e-karam, Tajdar-e-Haram Nek ban jaayen hum, Tajdar-e-Haram
Dard-e-isyaan mite, aadat-e-bad chhute Shah-e-Arab-o-Ajam, Tajdar-e-Haram
Nafs-o-shaitan ka, aah! ghalba hua Ya Nabi ho karam, Tajdar-e-Haram
Yaksan hon madh-o-zamm mujh ko kar do karam Kuch khushi ho na gham, Tajdar-e-Haram
Bad-kalami na ho, yaawa-goi na ho bolun Main kam se kam, Tajdar-e-Haram
Rakkhun neechi nazar mein, idhar ya udhar Kuch na dekhun karam, Tajdar-e-Haram
Ashkbaari karun, aah-o-zaari karun Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ishq-e-Khallaq do, husn-e-akhlaq do Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Khoob mukhlis banun, main riya se bachun Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Aafatein jaayen tal, mushkilein bhi hon hal Kar do aisa karam, Tajdar-e-Haram
Hon durood-o-salam Aaqa lab par mudam Har ghari dam-ba-dam, Tajdar-e-Haram
Bad-khasail talen, seedhay raste chalen Kar do Aaqa karam, Tajdar-e-Haram
Ho gaya gar azaab, ae Risalat-maab Seh saken ge na hum, Tajdar-e-Haram
Khuld ki do sanad, az tufail-e-Samad Ya Shafee-e-Umam, Tajdar-e-Haram
Roz-e-Mahshar shaha! mujh gunahgar ka Aap rakhna bharam, Tajdar-e-Haram
Zahir-o-batin ek, Aaqa ho kar do nek Ya Shafee-e-Umam, Tajdar-e-Haram
Apna deewana kar, mast-o-mastana kar Shahryar-e-Iram, Tajdar-e-Haram
Ab Madine bula, sabz gumbad dikha Chumun khaak-e-Haram, Tajdar-e-Haram
Sabr-o-himmat mile, yun shahadat mile Mera sar ho qalam, Tajdar-e-Haram
Kaash aaye woh pal, rote rote nikal Jaaye qadmon mein dam, Tajdar-e-Haram
Kaash! hota shaha, jism-e-Attar ka Khaak-e-Taibah mein zamm, Tajdar-e-Haram