Hum Madine se Allah kyun aa gaye, qalb-e-hairaan ki taskeen wahin reh gayi Dil wahin reh gaya, jaan wahin reh gayi, kham isi dar pe apni jabeen reh gayi
Yaad aate hain hum ko woh shaam-o-sahar, woh sukoon-e-dil, jaan-o-rooh-o-nazar Yeh unhi ka karam hai, unhi ki ata, ek kaifiyat-e-dil-nasheen reh gayi
Allah Allah wahan ka durood-o-salaam, Allah Allah wahan ka sujood-o-qiyaam Allah Allah wahan ka kaif-e-dawaam, woh salat-e-sukoon-aafrin reh gayi
Jis jagah sajda-rezi ki lazzat mili, jis jagah har qadam un ki rehmat mili Jis jagah noor rehta hai shaam-o-sahar, woh falak reh gaya, woh zameen reh gayi
Parh ke NASRUM-MINALLAH-E-WA-FATHUN-QAREEB hum rawaan jab huye su-e-ku-e-Habib Barkatein rehmatein saath chalne lagin, bebasi zindagi ki yahin reh gayi
Zindagani wahin kaash! hoti basar, kaash! Behzad aate na hum laut kar Aur poori hui har tamanna magar, yeh tamanna-e-qalb-e-hazein reh gayi