Hum ko Allah aur Nabi se pyaar hai InshaAllah apna beda paar hai
Ummahatul Momineen o chaar yaar Sab Sahaba se hamein to pyaar hai
Ghaus o Khwaja Data aur Ahmed Raza Se bhi aur har ik wali se pyaar hai
Ya Rasoolallahi unzur halana Talib-e-nazar-e-karam badkar hai
Ya Habiballahi isma' qalana Iltija Ya Sayyid-al-Abrar hai
Innani fi bahr-e-hammim mughraqun Nao danwa dol dar manjdhaar hai
Khudh yadi sahhil lana ashqalana Nakhuda aao to beda paar hai
Ho adu gharat waseela us ka jo Jaan-e-Aalam! tera yaar-e-ghaar hai
Dushmanon ki jo uda de gardanein Ya Umar! darkaar woh talwar hai
Wasta Usmaan ka Aaqa al-madad Dushmanon ne mujh pe ki yalghar hai
Dushmanan-e-Deen ko kar do tabah Arz tum se Haider-e-Karrar hai
Daaman-e-Ahmed Raza mujh ko mila Haan yeh inaam-e-Shah-e-Abrar hai
Hoon Ziauddin ka adna gada Mere murshid ka sakhi darbaar hai
Tum ko kuch maloom hai yaaro! mujhe Dawat-e-Islami se kyun pyaar hai
Hai karam is par Khuda-e-Paak ka Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Is pe hai nazar-e-karam Sarkar ki Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Be-adad kafir musalman ho gaye Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Be-namazi bhi namazi ho gaye Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Chor daku aaye aur taaib hue Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Zani o qatil bhi taaib ho gaye Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Aur sharabi aaye taaib ho gaye Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Sunnaton ki har taraf aayi bahaar Dawat-e-Islami se yun pyaar hai
Bakhshwana aap hi Attar ko Sab gunahgaron ka yeh sardar hai