Hum hain iltija wale aap ﷺ hain ata wale Bheek kuch ata karna ay mere sakha wale
Chhed na hamein duniya hum hain Mustafa ﷺ wale Sayyad-ul-Wara wale Shah-e-Dosara wale
Ibn-e-Murtaza ؑ ne kaha sun Shimr jafa wale Nana hai Nabi ﷺ apna hum hain Karbala wale
Mar to jayenge lekin ghair se na maangenge Aaqa ﷺ aap ke bhikari to hain badi ana wale
Main mareez-e-Tayyabah hoon mujhe us gali mein le jao Haan wahi gali jis ke zarre hain shifa wale
Khud kaha mere Rab ne bakhash doon ga main sab ko Aayen yaar ke dar par ye jitne hain khata wale
Maal-o-zar ki ay Altaf ؔ kuch nahi hamein parwah Jaan bhi lutate hain aadmi wafa wale