Hum gunahgaron ko Sarkar sambhale honge Hashr mein un ki shafa'at ke hawaley honge
Noor aankhon mein to chehron pe ujaley honge Mustafa walon ke andaaz niraley honge
Shafi'-e-Hashr ki rehmat unhein dho daley gi Jo waraq daftar-e-a'maal ke kaley honge
Naz'a mein un ke tasawwur se muqaddar chamka Qabr mein ab to ujaley hi ujaley honge
Jo lutate hain Muhammad ﷺ pe asasa apna Un ki tehweel mein jannat ke qabley honge
Dukh mitata hai faqat ek ishara un ka Ab labon par na woh aahein, na woh naley honge