Hum dar-e-Aaqa pe sar apna jhuka lete hain Sach batana are duniya tera kya lete hain
Is ko aankhon pe bithate hain zamane wale Jis ko Mehboob-e-Khuda apna lete hain
Waqt ki qaid nahin, hain yeh karam ki baatein Jab bhi Sarkar ki marzi ho bula lete hain
Gham ke maron ka tabeebo na karo koi ilaaj Hum gham-e-ishq-e-Nabi mein bhi maza lete hain
Patharo tum to ho patthar magar Aaqa mere Tum se gar chahein to kalma bhi parha lete hain
Jab nahin milti kahin se bhi sukoon ki daulat Teri mehfil tere deewane saja lete hain
Yeh bhi Sarkar ki rehmat hai karam hai un ka Hum jahan jayen wahan rang apna jama lete hain
Gumbad-e-Khizra Khuda tujh ko salamat rakhe Dekh lete hain tujhe pyas bujha lete hain
Jab se dekha hai Niazi woh Riaz-ul-Jannah Hum to ghar baithe hi jannat ki hawa lete hain