Huin ummeeden bar-awar Madinah aaney wala hai Jhukalo ab adab se sar Madinah aaney wala hai
Pilade saqiya saghar Madinah aaney wala hai Ata ab kaif-o-masti kar Madinah aaney wala hai
Ata ho mujh ko chashm-e-tar mujhe dedo dil-e-muztar Zara jaldi mere sarwar! Madinah aaney wala hai
Tarapne ka qareena do mujhe do chaak-e-seena do Paye Shabbir aur Shabbar Madinah aaney wala hai
Mubarak ho gunahgaro! khatakaro! siyah-karo Tumhein ab aasiyo! kya dar Madinah aaney wala hai
Madine ke musafir par chhama chham rehmaton ki ab Hai barish khoob zoron par Madinah aaney wala hai
Parho ae zairo! milkar durood un par salam un par Lutao ashk ke gohar Madinah aaney wala hai
Thehar ja rooh-e-muztar tu nikal jana Madine mein Khudara ab na jaldi kar Madinah aaney wala hai
Durood-e-pak ke gajrey salam-o-naat ke tohfey Barho ae zairo! lekar Madinah aaney wala hai
Khushi se zairo! jhoomo fazayein jhoom kar choomo Bas aaya rauza-e-anwar Madinah aaney wala hai
Nikal ab paon se joota qareeb-e-Taiba tu pohancha Ae zair! hosh ab to kar Madinah aaney wala hai
Woh barsa noor ka jhala sama hai khoob ujiyala Hai kaisa dil-kusha manzar Madinah aaney wala hai
Mubarak! gham ke maron ko mubarak! be-saharon ko Khule hain rehmaton ke dar Madinah aaney wala hai
Fazayein bhi munawwar hain, hawayein bhi muattar hain Sama rangeen-o-kaif aawar Madinah aaney wala hai
Meri ho aarzoo poori mujhe mil jaye manzoori Baqi-e-pak ki sarwar Madinah aaney wala hai
Waseela chaar yaron ka Uhud ke jaan-nisaron ka Dikha do ik jhalak sarwar Madinah aaney wala hai
Nikalo, Mustafa pyarey! khayal-e-ghair ab sarey Hamarey qalb se bahar Madinah aaney wala hai
Utho tazeem ki khatir parho takreem ki khatir Salam ae zairo! milkar Madinah aaney wala hai
Utho Attar ab utho! zara woh gaur se dekho Hai chhaya noor har shay par Madinah aaney wala hai