Hudood-e-taair-e-Sidra, Huzoor jaante hain Kahan hai Arsh-e-Mualla, Huzoor jaante hain
Har ek harf-e-tamanna, Huzoor jaante hain Tamaam haal dilon ka, Huzoor jaante hain
Unhein khabar hai kahin se parho durood un par Tamaam dehar ka naqsha, Huzoor jaante hain
Baroz-e-hashr shafa'at karenge chun chun kar Har ek ghulam ka chehra, Huzoor jaante hain
Baroz-e-hashr shafa'at karenge woh lekin Agar hua ye aqeeda, Huzoor jaante hain
Main is yaqeen se nikla hoon hazri ke liye Mere safar ka irada Huzoor jaante hain
Bula bhi sakte hain woh aur aa bhi sakte hain Ke dooriyon ko mitana Huzoor jaante hain
Main maangta hoon unhi se, unhi se maangta hoon Huzoor par bharosa, Huzoor jaante hain
Khuda ne is liye Qasim unhein banaya hai Ke baantne ka qareena Huzoor ﷺ jaante hain
Pohanch ke Sidra par Rooh-ul-Amin kehne lage Yahan se aage ka rasta, Huzoor jaante hain
Qayamat aayegi kab, un ko ilm hai Sarwar, Zuhoor-e-kun ka bhi lamha Huzoor jaante hain
Sikhayi baat ye Sarwar hamein Sahaba ne Ke jaanta hai Khuda ya, Huzoor jaante hain
Kahenge khuld mein Sarwar, Nabi ke deewane Zara woh naat sunana, Huzoor jaante hain