Hua jaata hai dushman sab zamana Ya RasulAllah Sunaun ab kise gham ka fasana Ya RasulAllah
Mujhe chaaron taraf se dushmanon ne gher rakha hai Bachana Ya RasulAllah bachana Ya RasulAllah
Jo apne thay wohi begane ho kar ab satate hain Karam lillah! Ya Shah-e-zamana! Ya RasulAllah
Bhanwar mein phans chuki hai nau aqa haye kya hoga Shaha! jaldi se paar aakar lagana Ya RasulAllah
Gham-o-aalam ne har samt se aqa jakar dala Paye Ghous-o-Raza aakar chhurana Ya RasulAllah
Shaha! gulzar-e-sunnat par khizan ne kar diya hamla Baharein sunnaton ki phir dikhana Ya RasulAllah
Gham-e-dunya mein kyun royen hamein kardo naseeb aqa Tumhare gham mein hi aansu bahana Ya RasulAllah
Daraya balkay mara bhi mujhe Ya Mustafa jis ne Usay bhi apne seenay se lagana Ya RasulAllah
Nahi Attar qabil imtihaan ke Sarwar-e-Aalam Baharsurat tumhein is ko nibhana Ya RasulAllah