Ho nigah-e-karam ya Shafi-e-ummam Teri ummah hain hum ya Shafi-e-ummam
Door doori karo aas poori karo Aayein roze pe hum ya Shafi-e-ummam
Dil pareshan hai rooh muztar meri Door hon ranj-o-gham ya Shafi-e-ummam
Kaise dar-pe aoon main gunahon bhara Mujh par kardo karam ya Shafi-e-ummam
Ishq dil mein bharo seena noori karo Mujh pe kardo karam ya Shafi-e-ummam
Gheera dala balaon ne Saaqib ko Door kar do alam ya Shafi-e-ummam